Dastoor Yahan Bhi Andhay Hain Farman Yahan Bhi Andhay Hain
Ai Dost Khuda Ka Naam Na Lay Iman Yahan Bhi Andhay Hain

Taqdeer Kay Kalay Kambal main Azmat Kay Fasanay Liptay Hain
Mazmon Yahan Bhi Behray Hain Unwan Yahan Bhi Andhay Hain

Zardaar tawaqqa Rakhta Hai Nadaar Ki Ghari Mehnat Par
MazdoorYahan Bhi Deewanay Zeeshan Yahan Bhi Andhay Hain

Kuch Loug Bharosa Kartay Hain Tasbieh Kay Chaltay Danow Per
Bay Chaain Yahan Yazdan Ka Junoo Insaan Yahan Bhi Andhay Hain

Baynaam Jafa Ki Rahon Per Kuch Khakh Si Urti Dehkhi Hai
Hairan Hain Dilon Kay Aainay Nadaan Yahan Bhi Andhay Hain

Bayrang Shafaq Si Dhelti Hai Baynoor Sawaray Hutay Hain
Shair Ka Tasavwor Bhooka Hai Sultan Yahan Bhi Andhay Hain




r>